اردو हिंदी
Un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun | Shaahi Shayari
un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

Ghazal

Un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

Arsh Sahbai

;

un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun
lab pe larzan si hai ek baat karun ya na karun

khinch lae na kahin phir ye mohabbat ki kashish
jurat-e-tark-e-mulaqat karun ya na karun

meri KHamoshi-e-paiham ka unhen shikwa hai
zikr-e-be-dardi-e-haalat karun ya na karun

hai gham-e-haal mein insan pareshan-KHatir
fikr-e-farda ki koi baat karun ya na karun