yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main
KHud apne aap ko pane ki aarzu bhi main
udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main
yam-e-nashat ki ek mauj-e-tund-KHu bhi main
mujhi mein gum hain kai tirgi ba-kaf raaten
ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main
mujhi se qaem-o-daem hain ghar ke sannaTe
tumhaari bazm-e-tamanna ki haw-hu bhi main
nihan mujhi mein hai qatil bhi aur masiha bhi
ki chaak-e-zaKHm bhi main sozan-e-rafu bhi main
KHud apne aap mein jhankun to main bhi main na rahun
nigah KHud se haTaun to chaar-su bhi main
jo rah chalte meri samt aankh bhi na uThae
usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main
tumhaari bazm se uThne ka bhi KHayal mujhe
zara si der Thaharne ka hila-ju bhi main
tilism-e-duri-o-qurbat ko toD kar 'sadiq'
pukarta hai koi aaine se tu bhi main

Ghazal
Yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main
Sadique Naseem