kabhi ki thi jo ab wafa kijiyega
mujhe puchh kar aap kya kijiyega
Hasrat Mohani
ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat'
bas kitabon mein likkha harf-e-wafa rah jaega
Hayat Lakhnavi
tujh se wafa na ki to kisi se wafa na ki
kis tarah intiqam liya apne aap se
Himayat Ali Shayar
dasht-e-wafa mein jal ke na rah jaen apne dil
wo dhup hai ki rang hain kale paDe hue
Hosh Tirmizi
ab to kar Daliye wafa us ko
wo jo wada udhaar rahta hai
Ibn-e-Mufti
as ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa
kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin
Ibrahim Ashk
kyun pasheman ho agar wada wafa ho na saka
kahin wade bhi nibhane ke liye hote hain
Ibrat Machlishahri