اردو हिंदी
Go dagh ho gae hain wo chhaale paDe hue | Shaahi Shayari
go dagh ho gae hain wo chhaale paDe hue

Ghazal

Go dagh ho gae hain wo chhaale paDe hue

Hosh Tirmizi

;

go dagh ho gae hain wo chhaale paDe hue
hain ab bhi dil mein tere hawale paDe hue

dasht-e-wafa mein jal ke na rah jaen apne dil
wo dhup hai ki rang hain kale paDe hue

shoale sa rang kya hai wo husn-e-karishma-saz
hain kashmakash mein dekhne wale paDe hue

shabnam saza hai jurat-e-ifsha-e-raaz ki
goya zaban-e-gul mein hain chhaale paDe hue

dekho hamein ki manzil-e-hosh-o-talab mein hain
lekin lab-e-sawal pe tale paDe hue

be-his guzar na yun chaman-e-rozgar se
kanTe ya phul kuchh to uTha le paDe hue

jaenge shakl-e-nau se sar-e-bazm-e-yar 'hosh'
munh par bhabut kan mein baale paDe hue