teri wafa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
Khalilur Rahman Azmi
ye wafa ki saKHt rahen ye tumhaare panw nazuk
na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke
your feet are tender, delicate, harsh are the paths of constancy
on me your vengeance do not wreak, by thus giving me company
Khumar Barabankavi
chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam
shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam
Mahboob Khizan
ewafai pe teri ji hai fida
qahr hota jo ba-wafa hota
I sacrifice my heart upon your infidelity
were you faithful it would be a calamity
Mir Taqi Mir
anjam-e-wafa ye hai jis ne bhi mohabbat ki
marne ki dua mangi jine ki saza pai
Nushur Wahidi
kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
Qateel Shifai
mere baad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jaega
Qateel Shifai