kyun pasheman ho agar wada wafa ho na saka
kahin wade bhi nibhane ke liye hote hain
Ibrat Machlishahri
ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi
ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghai
Jaun Eliya
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
Josh Malihabadi
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi
aap ne jhuTa wada kar ke
aaj hamari umr baDha di
Kaif Bhopali
aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye
Lala Madhav Ram Jauhar
wada nahin payam nahin guftugu nahin
hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai
Lala Madhav Ram Jauhar