mujhe kal ke wade pe karte hain ruKHsat
koi wada pura hua chahta hai
Altaf Hussain Hali
wo ummid kya jis ki ho intiha
wo wada nahin jo wafa ho gaya
Altaf Hussain Hali
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
Ameer Minai
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhin ki zaban ke hain
Ameer Minai
us ke wadon se itna to sabit hua us ko thoDa sa pas-e-talluq to hai
ye alag baat hai wo hai wada-shikan ye bhi kuchh kam nahin us ne wade kiye
Amir Usmani
az wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai
Anjum Khayali
tha wada sham ka magar aae wo raat ko
main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya
Anwar Shuoor