اردو हिंदी
Wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya | Shaahi Shayari
wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya

Ghazal

Wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya

Josh Malihabadi

;

wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya
bas ab tumhin pe chalo hum ne inhisar kiya

tumhaara zikr nahin hai tumhaara nam nahin
kiya nasib ka shikwa hazar bar kiya

subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya

maal hum ne jo dekha sukun o jumbish ka
to kuchh samajh ke taDapna hi iKHtiyar kiya

mere KHuda ne mere sab gunah baKHsh diye
kisi ka raat ko yun main ne intizar kiya