اردو हिंदी
Visaal Shayari | Shaahi Shayari

Visaal

62 Shers

wo gale se lipaT ke sote hain
aaj-kal garmiyan hain jaDon mein

Muztar Khairabadi




aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jae kahin

Nasir Kazmi




jab zikr kiya main ne kabhi wasl ka un se
wo kahne lage pak mohabbat hai baDi chiz

Nooh Narvi




chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun
tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun

Sahir Ludhianvi




main apne jism ki sargoshiyon ko sunta hun
tere visal ki saat nikalti jati hai

Shahryar




guzarne hi na di wo raat main ne
ghaDi par rakh diya tha hath main ne

Shahzad Ahmad