اردو हिंदी
Visaal Shayari | Shaahi Shayari

Visaal

62 Shers

o wasl mein munh chhupane wale
ye bhi koi waqt hai haya ka

Hasan Barelvi


Tags: | Visaal | | Haya | | 2 Lines Shayari |


KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai

Hasan Nayeem


Tags: | Hijr | | Yaad | | Visaal | | Dil | | 2 Lines Shayari |


kahan hum kahan wasl-e-jaanan ki 'hasrat'
bahut hai unhen ek nazar dekh lena

Hasrat Mohani




wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin
aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin

Hasrat Mohani




sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi

Jaan Nisar Akhtar




ek raat dil-jalon ko ye aish-e-visal de
phir chahe aasman jahannam mein Dal de

just one night give these deprived the joy of company
thereafter if you wish merge paradise and purgatory

Jalal Lakhnavi




tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai

Jalaluddin Akbar