اردو हिंदी
Phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf | Shaahi Shayari
phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

Ghazal

Phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

Nazm tabaa-tabaa.ii

;

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf
chala hai chhoD ke bismil mujhe hiran ki taraf

banaya toD ke aaina aaina-KHana
na dekhi rah jo KHalwat se anjuman ki taraf

rah-e-wafa ko na chhoDa wo andalib hun main
chhuTa qafas se to parwaz ki chaman ki taraf

gurez chahiye tul-e-amal se salik ko
suna hai rah ye jati hai rahzan ki taraf

sara-e-dahr mein sooge ghafilo kab tak
uTho to kya tumhein jaana nahin watan ki taraf

jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se
na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf

jahan-e-hadsa-agin mein bashar ka warud
guzar habab ka dariya-e-maujzan ki taraf

isi umid pe hum din KHizan ke kaTte hain
kabhi to baad-e-bahaar aaegi chaman ki taraf

bichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki
suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf

gawah kaun mere qatl ka ho mahshar mein
abhi se sara zamana hai tegh-zan ki taraf

KHabar di uTh ke qayamat ne us ke aane ki
KHuda hi KHair kare ruKH hai anjuman ki taraf

wo apne ruKH ki sabahat ko aap dekhte hain
jhuke hue gul-e-nargis hain yasman ki taraf

tamam bazm hai kya mahw us ki baaton mein
nazar dahan ki taraf kan hai suKHan ki taraf

asir ho gaya dil gesuon mein KHub hua
chala tha Dub ke marne chah-e-zaqan ki taraf

ye mai-kashon ki ada abr-e-tar bhi sikh gae
kinar-e-ju se jo uTThe chale chaman ki taraf

zahe-nasib jo ho karbala ki maut ai 'nazm'
ki uD ke KHak-e-shifa aae KHud kafan ki taraf