aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya
Ahmad Faraz
kabhi 'faraaz' se aa kar milo jo waqt mile
ye shaKHs KHub hai ashaar ke alawa bhi
Ahmad Faraz
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
Bekhud Dehlvi
na dekhe honge rind-e-la-ubaali tum ne 'beKHud' se
ki aise log ab aankhon se ojhal hote jate hain
Bekhud Dehlvi
aane wali naslen tum par faKHr karengi ham-asro
jab bhi un ko dhyan aaega tum ne 'firaq' ko dekha hai
Firaq Gorakhpuri
meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya
Firaq Gorakhpuri
teri zamin se uThenge to aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge
Ibrahim Ashk