aur hote hain jo mahfil mein KHamosh aate hain
aandhiyan aati hain jab hazrat-e-'josh' aate hain
Josh Malsiani
apna lahu bhar kar logon ko banT gae paimane log
duniya bhar ko yaad rahenge hum jaise diwane log
Kaleem Aajiz
meri shaeri mein na raqs-e-jam na mai ki rang-fishaniyan
wahi dukh-bharon ki hikayaten wahi dil-jalon ki kahaniyan
Kaleem Aajiz
main apne ghar ko bulandi pe chaDh ke kya dekhun
uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe
Khalilur Rahman Azmi
'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan
'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain
Khalilur Rahman Azmi
yaadgar-e-zamana hain hum log
sun rakho fasana hain hum log
Muntazir lakhnavi
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum
Shad Azimabadi