اردو हिंदी
Teri zamin se uThenge to aasman honge | Shaahi Shayari
teri zamin se uThenge to aasman honge

Ghazal

Teri zamin se uThenge to aasman honge

Ibrahim Ashk

;

teri zamin se uThenge to aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge

chale gae to pukaregi har sada hum ko
na jaane kitni zabanon se hum bayan honge

lahu lahu ke siwa kuchh na dekh paoge
hamare naqsh-e-qadam is qadar ayan honge

sameT lijiye bhige hue har ek pal ko
bikhar gae jo ye moti to raegan honge

uchaT dil ka Thikana kisi ko kya malum
hum apne aap se bichhDe to phir kahan honge

hain apni mauj ke bahte hue samundar hum
tamam dasht-e-junun mein rawan-dawan honge

ye bazm-e-yar hai qurban jaiye is par
suna hai 'ashk' yahan dil sabhi jawan honge