اردو हिंदी
Apne honTon par sajaana chahta hun | Shaahi Shayari
apne honTon par sajaana chahta hun

Ghazal

Apne honTon par sajaana chahta hun

Qateel Shifai

;

apne honTon par sajaana chahta hun
aa tujhe main gungunana chahta hun

koi aansu tere daman par gira kar
bund ko moti banana chahta hun

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chahta hun

chha raha hai sari basti mein andhera
raushni ko, ghar jalana chahta hun

aaKHri hichki tere zanu pe aae
maut bhi main shairana chahta hun