itni pi jae ki miT jae main aur tu ki tamiz
yani ye hosh ki diwar gira di jae
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
Farhat Shahzad
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
Hafeez Jaunpuri
mai-kade mein nashsha ki ainak dikhati hai mujhe
aasman mast o zamin mast o dar-o-diwar mast
Haidar Ali Aatish
nashsha tha zindagi ka sharabon se tez-tar
hum gir paDe to maut uTha le gai hamein
Irfan Ahmad
ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain
kahin chaDh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain
Lala Madhav Ram Jauhar