اردو हिंदी
Mulaqat Shayari | Shaahi Shayari

Mulaqat

36 Shers

aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jae kahin

Nasir Kazmi




naqsha uTha ke koi naya shahr DhunDhiye
is shahr mein to sab se mulaqat ho gai

Nida Fazli




milna jo na ho tum ko to kah do na milenge
ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj

Nooh Narvi




sunte rahe hain aap ke ausaf sab se hum
milne ka aap se kabhi mauqa nahin mila

Nooh Narvi




is qadar bas-ki roz milne se
KHatiron mein ghubar aawe hai

Shaikh Zahuruddin Hatim




muddat se aarzu hai KHuda wo ghaDi kare
hum tum piyen jo mil ke kahin ek ja shara

Shaikh Zahuruddin Hatim




jaane wale se mulaqat na hone pai
dil ki dil mein hi rahi baat na hone pai

Shakeel Badayuni