atao kaun si surat hai un se milne ki
na us taraf unhen fursat na hum idhar KHali
Lala Madhav Ram Jauhar
chhoDna hai to na ilzam laga kar chhoDo
kahin mil jao to phir lutf-e-mulaqat rahe
Lala Madhav Ram Jauhar
ghairon se to fursat tumhein din raat nahin hai
han mere liye waqt-e-mulaqat nahin hai
Lala Madhav Ram Jauhar
aankh bhar aai kisi se jo mulaqat hui
KHushk mausam tha magar TuT ke barsat hui
Manzar Bhopali
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
Mazhar Imam
Thani thi dil mein ab na milenge kisi se hum
par kya karen ki ho gae na-chaar ji se hum
Momin Khan Momin
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai
Mubarak Azimabadi