tere daman mein sitare hain to honge ai falak
mujh ko apni man ki maili oDhni achchhi lagi
Munawwar Rana
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
mein jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
Munawwar Rana
huke bachchon ki tasalli ke liye
man ne phir pani pakaya der tak
Nawaz Deobandi
is liye chal na saka koi bhi KHanjar mujh par
meri shah-rag pe meri man ki dua rakkhi thi
Nazeer Baaqri
main roya pardes mein bhiga man ka pyar
dukh ne dukh se baat ki bin chiTThi bin ta
Nida Fazli
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
Qaisar-ul-Jafri
surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain
Sarfaraz Shahid