اردو हिंदी
Ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha | Shaahi Shayari
ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha

Ghazal

Ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha

Irfan Sattar

;

ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha
us ka qalaq hai aisa ki main so nahin raha

wo ho raha hai jo main nahin chahta ki ho
aur jo main chahta hun wahi ho nahin raha

nam dida hun, ki teri KHushi par hun KHush bahut
chal chhoD, tujh se kah jo diya, ro nahin raha

ye zaKHm jis ko waqt ka marham bhi kuchh nahin
ye dagh, sail-e-girya jise dho nahin raha

ab bhi hai ranj, ranj bhi KHasa shadid hai
wo dil ko chirta hua gham go nahin raha

aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha

kya be-hisi ka daur hai logo ki ab KHayal
apne siwa kisi ka kisi ko nahin raha