wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
Mohammad Alvi
girja mein mandiron mein azanon mein baT gaya
hote hi subh aadmi KHanon mein baT gaya
Nida Fazli
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
Nida Fazli
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
Nida Fazli
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
Nida Fazli
na to main hur ka maftun na pari ka aashiq
KHak ke putle ka hai KHak ka putla aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz
hiD tanhaiyon ka mela hai
aadmi aadmi akela hai
Saba Akbarabadi