gharon pe nam the namon ke sath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila
Bashir Badr
isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
tamam log farishte hain aadmi hun main
Bashir Badr
ai shaiKH aadmi ke bhi darje hain muKHtalif
insan hain zarur magar wajibi se aap
Bekhud Dehlvi
farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho
hum aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
Dil Ayubi
dewtaon ka KHuda se hoga kaam
aadmi ko aadmi darkar hai
Firaq Gorakhpuri
insan ki bulandi o pasti ko dekh kar
insan kahan khaDa hai hamein sochna paDa
Habeeb Hyderabadi
aadmi ka aadmi har haal mein hamdard ho
ek tawajjoh chahiye insan ko insan ki taraf
Hafeez Jaunpuri