wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
Faiz Ahmad Faiz
ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar
wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin
Faiz Ahmad Faiz
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain
Faiz Ahmad Faiz
gul to gul KHar tak chun liye hain
phir bhi KHali hai gulchin ka daman
Fana Nizami Kanpuri
koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
Fana Nizami Kanpuri
ahla na dil na tirgi-e-sham-e-gham gai
ye jaanta to aag lagata na ghar ko main
Fani Badayuni
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
Fani Badayuni