kis KHarabi se zindagi 'fani'
is jahan-e-KHarab mein guzri
Fani Badayuni
is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai
ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai
Faryad Aazar
ek KHwab-o-KHayal hai duniya
e'tibar-e-nazar ko kya kahiye
Figar Unnavi
mazhab ki KHarabi hai na aKHlaq ki pasti
duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai
Firaq Gorakhpuri
duniya to chahti hai yunhi fasle rahen
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal
Habib Jalib
kuchh is ke sanwar jaane ki tadbir nahin hai
duniya hai teri zulf-e-girah-gir nahin hai
Hafeez Banarasi
duniya bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
kuchh roz hain guzarne aur kuchh guzar gae
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida