ghar ke bahar DhunDhta rahta hun duniya
ghar ke andar duniya-dari rahti hai
Rahat Indori
hamein KHabar hai zan-e-fahisha hai ye duniya
so hum bhi sath ise be-nikah rakhte hain
Sahba Akhtar
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
Sahir Ludhianvi
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
Sahir Ludhianvi
jis ki hawas ke waste duniya hui aziz
wapas hue to us ki mohabbat KHafa mili
Saqi Faruqi
tamannaon mein uljhaya gaya hun
khilaune de ke bahlaya gaya hun
Shad Azimabadi
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
Shahab Jafri