tum zamane ki rah se aae
warna sidha tha rasta dil ka
Baqi Siddiqui
hul shayad bahut baDi kar li
dil ne duniya se dosti kar li
Bashir Badr
phir se KHuda banaega koi naya jahan
duniya ko yun miTaegi ikkiswin sadi
Bashir Badr
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas baDe de sharab kam kar de
Bashir Badr
ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise
hai is mein ek tilism tamanna kahen jise
Dattatriya Kaifi
sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud
'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise
Dattatriya Kaifi
aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi
is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai
Ejaz Siddiqi