اردو हिंदी
Phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal | Shaahi Shayari
phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal

Ghazal

Phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal

Habib Jalib

;

phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal
shayad mile ghazal ka pata us gali mein chal

kab se nahin hua hai koi sher kaam ka
ye sher ki nahin hai faza us gali mein chal

wo baam o dar wo log wo ruswaiyon ke zaKHm
hain sab ke sab aziz juda us gali mein chal

us phul ke baghair bahut ji udas hai
mujh ko bhi sath le ke saba us gali mein chal

duniya to chahti hai yunhi fasle rahen
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal

be-nur o be-asar hai yahan ki sada-e-saz
tha us sukut mein bhi maza us gali mein chal

'jalib' pukarti hain wo shola-nawaiyan
ye sard rut ye sard hawa us gali mein chal