ai dost tujh ko rahm na aae to kya karun
dushman bhi mere haal pe ab aab-dida hai
Lala Madhav Ram Jauhar
dost dil rakhne ko karte hain bahane kya kiya
roz jhuTi KHabar-e-wasl suna jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
dost do-chaar nikalte hain kahin lakhon mein
jitne hote hain siwa utne hi kam hote hain
Lala Madhav Ram Jauhar
jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua
dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho
Lala Madhav Ram Jauhar
ahut zaKHim kitabon se chun ke laya hun
inhen paDho waraq-e-intiKHab hain mere dost
Liyaqat Ali Aasim
zamanon baad mile hain to kaise munh pherun
mere liye to purani sharab hain mere dost
Liyaqat Ali Aasim
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
Mahirul Qadri