dost ne dil ko toD ke naqsh-e-wafa miTa diya
samjhe the hum jise KHalil kaba usi ne Dha diya
Arzoo Lakhnavi
ahut chhoTe hain mujh se mere dushman
jo mera dost hai mujh se baDa hai
Athar Nafees
ahbab bhi ghairon ki ada sikh gae hain
aate hain magar dil ko dukhane nahin aate
Bashir Badr
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
Bashir Badr
na udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal kar
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai
Bashir Badr
ab wo titli hai na wo umr taaqub wali
main na kahta tha bahut dur na jaana mere dost
Faisal Ajmi
tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe KHanjar uTha liya
Fana Nizami Kanpuri