اردو हिंदी
Ek tishna-lab ne baDh ke jo saghar uTha liya | Shaahi Shayari
ek tishna-lab ne baDh ke jo saghar uTha liya

Ghazal

Ek tishna-lab ne baDh ke jo saghar uTha liya

Fana Nizami Kanpuri

;

ek tishna-lab ne baDh ke jo saghar uTha liya
har bul-hawas ne mai-kada sar par uTha liya

maujon ke ittihad ka aalam na puchhiye
qatra uTha aur uTh ke samundar uTha liya

tartib de raha tha main fahrist-e-dushmanan
yaron ne itni baat pe KHanjar uTha liya

main aisa bad-nasib ki jis ne azal ke roz
phenka hua kisi ka muqaddar uTha liya