kisi ne mol na puchha dil-e-shikasta ka
koi KHarid ke TuTa piyala kya karta
Haidar Ali Aatish
ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin
dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha
Haidar Ali Aatish
us bala-e-jaan se 'atish' dekhiye kyunkar bane
dil siwa shishe se nazuk dil se nazuk KHu-e-dost
Haidar Ali Aatish
ye dil lagane mein main ne maza uThaya hai
mila na dost to dushman se ittihad kiya
Haidar Ali Aatish
dil ko to bahut pahle se dhaDka sa laga tha
pana tera shayad tujhe khone ke liye hai
Haidar Qureshi
charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya
dil us ko de diya to bhala kya bura kiya
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the
dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala
Hasan Barelvi