tujhe kuchh ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil
sunae ja raha hai ek hi afsana barson se
Abdul Majeed Salik
andheri raat ko main roz-e-ishq samjha tha
charagh tu ne jalaya to dil bujha mera
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
main Thaharta gaya rafta rafta
aur ye dil apni rawani mein raha
Abrar Ahmad
yaad bhi teri miT gai dil se
aur kya rah gaya hai hone ko
Abrar Ahmad
dil ke virane mein ghume to bhaTak jaoge
raunaq-e-kucha-o-bazar se aage na baDho
Ada Jafri
mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki
Afsar Allahabadi
kisi tarah to ghaTe dil ki be-qarari bhi
chalo wo chashm nahin kam se kam sharab to ho
Aftab Hussain