sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
Firaq Gorakhpuri
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil
itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
Firaq Gorakhpuri
dil ne tamanna ki thi jis ki barson tak
aise zaKHm ko achchha kar ke baiTh gae
Ghulam Murtaza Rahi
dil par dastak dene kaun aa nikla hai
kis ki aahaT sunta hun virane mein
Gulzar
zaKHm kahte hain dil ka gahna hai
dard dil ka libas hota hai
Gulzar
sabr ai dil ki ye haalat nahin dekhi jati
Thahr ai dard ki ab zabt ka yara na raha
Habeeb Ashar Dehlavi
dil liya hai to KHuda ke liye kah do sahab
muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai
Habeeb Musvi