dimagh ahl-e-mohabbat ka sath deta nahin
use kaho ki wo dil ke kahe mein aa jae
Faragh Rohvi
dil ki rahen juda hain duniya se
koi bhi rahbar nahin hota
Farhat Kanpuri
masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karen
darmiyan ke fasle ka tai safar kaise karen
Farrukh Jafari
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
Fatima Hasan
dil ki buniyaad pe tamir kar aiwan-e-hayat
qasr-e-shahi to zara der mein Dah jate hain
Figar Unnavi
dil mera shaki-e-jafa na hua
ye wafadar bewafa na hua
Figar Unnavi
main hun dil hai tanhai hai
tum bhi hote achchha hota
my loneliness my heart and me
would be nice
Firaq Gorakhpuri