اردو हिंदी
Masala ye hai ki uske dil mein ghar kaise karen | Shaahi Shayari
masala ye hai ki uske dil mein ghar kaise karen

Ghazal

Masala ye hai ki uske dil mein ghar kaise karen

Farrukh Jafari

;

masala ye hai ki us ke dil mein ghar kaise karen
darmiyan ke fasle ka tai safar kaise karen

koi sunta hi nahin arz-e-hunar kaise karen
KHud ko hum apni nazar mein mo'tabar kaise karen

aaKHiri patthar se be-samt-o-nishan jaana hai ab
hum khuli aankhon se ye andha safar kaise karen

jaan ke jaane ka andesha bahut hai ab ki bar
marka bhi aaKHiri karna hai sar kaise karen

kuchh dinon ki baat ho to kaT den aankhon mein raat
nind agar aae na 'farruKH' umr bhar kaise karen