phirte hue kisi ki nazar dekhte rahe
dil KHun ho raha tha magar dekhte rahe
Asar Lakhnavi
jism paband-e-gul sahi 'abid'
dil magar wahshaton ki basti hai
Asghar Abid
dil ki jagir mein mera bhi koi hissa rakh
main bhi tera hun mujhe bhi to kahin rahna hai
Ashfaq Husain
dil wo sahra hai jahan hasrat-e-saya bhi nahin
dil wo duniya hai jahan rang hai ranai hai
Ata Shad
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
yaadon ki mahfil mein kho kar
dil apna tanha tanha hai
Azad Gulati
KHun hua dil ki pashiman-e-sadaqat hai wafa
KHush hua ji ki chalo aaj tumhaare hue log
Aziz Hamid Madni