dil ujDi hui ek sarae ki tarah hai
ab log yahan raat jagane nahin aate
Bashir Badr
hum to kuchh der hans bhi lete hain
dil hamesha udas rahta hai
Bashir Badr
har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain
umren bit jati hain dil ko dil banane mein
Bashir Badr
kamre viran aangan KHali phir ye kaisi aawazen
shayad mere dil ki dhaDkan chuni hai in diwaron mein
Bashir Badr
na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
makan KHali hua hai to koi aaega
Bashir Badr
phul barse kahin shabnam kahin gauhar barse
aur is dil ki taraf barse to patthar barse
Bashir Badr
dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat
aisi chizon ke kahin dam diye jate hain
Bekhud Dehlvi