tumhaara dil mere dil ke barabar ho nahin sakta
wo shisha ho nahin sakta ye patthar ho nahin sakta
Dagh Dehlvi
wada jhuTa kar liya chaliye tasalli ho gai
hai zara si baat KHush karna dil-e-nashad ka
Dagh Dehlvi
ishq ne jis dil pe qabza kar liya
phir kahan us mein nashat o gham rahe
Dattatriya Kaifi
wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye
wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye
Ehsan Danish
zabt bhi sabr bhi imkan mein sab kuchh hai magar
pahle kam-baKHt mera dil to mera dil ho jae
Ehsan Danish
aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka
kuchh bigaDti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai
Ejaz Siddiqi
tumhaari yaad nikalti nahin mere dil se
nasha chhalakta nahin hai sharab se baha
Faheem Shanas Kazmi