aat ek shaKHs bahut yaad aaya
jis ghaDi chand numudar hua
Aziz Ahmad Khan Shafaq
puchhna chand ka pata 'azar'
jab akele mein raat mil jae
Balwan Singh Azar
hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam uTha
Bashir Badr
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek KHub-surat sham ho jae
Bashir Badr
aat ko roz Dub jata hai
chand ko tairna sikhana hai
Bedil Haidri
chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai
aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
Farhat Ehsas
wo chand kah ke gaya tha ki aaj niklega
to intizar mein baiTha hua hun sham se main
Farhat Ehsas