اردو हिंदी
Waqt jab rah ki diwar hua | Shaahi Shayari
waqt jab rah ki diwar hua

Ghazal

Waqt jab rah ki diwar hua

Aziz Ahmad Khan Shafaq

;

waqt jab rah ki diwar hua
koi sailab numudar hua

us ne peDon se haTa lin shaKHen
bagh mein se tu kai bar hua

main ne jo dil mein chhupana chaha
mere chehre se numudar hua

sahili-sham ka phaila manzar
kuchh lakiron mein giraftar hua

raat ek shaKHs bahut yaad aaya
jis ghaDi chand numudar hua