arsat ka baadal to diwana hai kya jaane
kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
Nida Fazli
ab bhi barsat ki raaton mein badan TuTta hai
jag uThti hain ajab KHwahishen angDai ki
Till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
The yen to stretch out languidly then comes to the fore
Parveen Shakir
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha
is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
Qateel Shifai
TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
Sajjad Baqar Rizvi
dur tak phaila hua pani hi pani har taraf
ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf
Shabab Lalit
kya kahun dida-e-tar ye to mera chehra hai
sang kaT jate hain barish ki jahan dhaar gire
Shakeb Jalali
hum to samjhe the ki barsat mein barsegi sharab
aai barsat to barsat ne dil toD diya
showers of wine, I did think, would come with rainy clime
but alas when it did rain my heart broke one more time
Sudarshan Faakhir