اردو हिंदी
Dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha | Shaahi Shayari
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha

Ghazal

Dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha

Qateel Shifai

;

dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha
is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha

surKH aahan par Tapakti bund hai ab har KHushi
zindagi ne yun to pahle hum ko tarsaya na tha

kya mila aaKHir tujhe sayon ke pichhe bhag kar
ai dil-e-nadan tujhe kya hum ne samjhaya na tha

uf ye sannaTa ki aahaT tak na ho jis mein muKHil
zindagi mein is qadar hum ne sukun paya na tha

KHub roe chhup ke ghar ki chaar-diwari mein hum
haal-e-dil kahne ke qabil koi ham-saya na tha

ho gae qallash jab se aas ki daulat luTi
pas apne aur to koi bhi sarmaya na tha

wo payambar ho ki aashiq qatl-gah-e-shauq mein
taj kanTon ka kise duniya ne pahnaya na tha

ab khula jhonkon ke pichhe chal rahi thin aandhiyan
ab jo manzar hai wo pahle to nazar aaya na tha

sirf KHushbu ki kami thi ghaur ke qabil 'qatil'
warna gulshan mein koi bhi phul murjhaya na tha