sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne
charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai
Ghulam Husain Sajid
koi munh pher leta hai to 'qasir' ab shikayat kya
tujhe kis ne kaha tha aaine ko toD kar le ja
Ghulam Mohammad Qasir
main tere waste aaina tha
apni surat ko taras ab kya hai
Ghulam Murtaza Rahi
aaina dekh kar tasalli hui
hum ko is ghar mein jaanta hai koi
Gulzar
un ki yaktai ka dawa miT gaya
aaine ne dusra paida kiya
Hafeez Jaunpuri
muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se
phir koi aur na aaya nazar aaine mein
Haneef Kaifi
aaina dekh ke farmate hain
kis ghazab ki hai jawani meri
Imdad Imam Asar