KHwab ka rishta haqiqat se na joDa jae
aaina hai ise patthar se na toDa jae
Malikzada Manzoor Ahmad
main to 'munir' aaine mein KHud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuchh aur tarah tha pahle kisi zamane mein
Muneer Niyazi
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya
Nasir Kazmi
aaina dekh ke kahte hain sanwarne wale
aaj be-maut marenge mere marne wale
on seeing her own reflection she is moved to say
ere their time, my paramours shall perish this day
Rasheed Rampuri
dekhiyega sambhal kar aaina
samna aaj hai muqabil ka
Riyaz Khairabadi
hamein mashuq ko apna banana tak nahin aata
banane wale aaina bana lete hain patthar se
Safi Aurangabadi
e-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat
aaina TuT kar teri angDai ban gaya
Saghar Siddiqui