اردو हिंदी
Na mera zor na bas ab kya hai | Shaahi Shayari
na mera zor na bas ab kya hai

Ghazal

Na mera zor na bas ab kya hai

Ghulam Murtaza Rahi

;

na mera zor na bas ab kya hai
ai giraftar-e-nafas ab kya hai

main tere waste aaina tha
apni surat ko taras ab kya hai

dane dane pe utar aae parind
banda-e-dam-e-hawas ab kya hai

kis hawa mein hai tu ai abr-e-karam
ab baras ya na baras ab kya hai

raha jab tak raha samton ka zawal
aai aawaz-e-jaras ab kya hai