aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
Atiiqullah
dekh aaina jo kahta hai ki allah-re main
us ka main dekhne wala hun 'baqa' wah-re main
Baqaullah u0027Baqau0027
aaina dekh kar wo ye samjhe
mil gaya husn-e-be-misal hamein
Bekhud Dehlvi
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho
tumhaare husn ka paida jawab kar dega
Bekhud Dehlvi
dekhna achchha nahin zanu pe rakh kar aaina
donon nazuk hain na rakhiyo aaine par aaina
Dagh Dehlvi
zara visal ke baad aaina to dekh ai dost
tere jamal ki doshizgi nikhar aai
Firaq Gorakhpuri
hule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai
Fuzail Jafri