girte hain log garmi-e-bazar dekh kar
sarkar dekh kar meri sarkar dekh ka
Abdul Hamid Adam
gulon ko khil ke murjhana paDa hai
tabassum ki saza kitni baDi hai
Abdul Hamid Adam
hath se kho na baiThna us ko
itni KHuddariyan nahin achchhi
Abdul Hamid Adam
had se baDh kar hasin lagte ho
jhuTi qasmen zarur khaya karo
Abdul Hamid Adam
hum aur log hain hum se bahut ghurur na kar
kalim tha jo tera naz sah gaya hoga
Abdul Hamid Adam
hum ko shahon ki adalat se tawaqqo to nahin
aap kahte hain to zanjir hila dete hain
Abdul Hamid Adam
har dil-fareb chiz nazar ka ghubar hai
aankhen hasin hon to KHizan bhi bahaar hai
Abdul Hamid Adam