ji chahta hai aaj 'adam' un ko chheDiye
Dar Dar ke pyar karne mein koi maza nahin
Abdul Hamid Adam
jin ko daulat haqir lagti hai
uf wo kitne amir hote hain
Abdul Hamid Adam
jin se insan ko pahunchti hai hamesha taklif
un ka dawa hai ki wo asl KHuda wale hain
Abdul Hamid Adam
jis se chhupna chahta hun main 'adam'
wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai
Abdul Hamid Adam
jo akasr bar-war hone se pahle TuT jate the
wahi KHasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain
Abdul Hamid Adam
junun ab manzilen tai kar raha hai
KHirad rasta dikha kar rah gai hai
Abdul Hamid Adam
kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas
main mai-kade mein tera intizar kar lunga
Abdul Hamid Adam