kashti chala raha hai magar kis ada ke sath
hum bhi na Dub jaen kahin na-KHuda ke sath
Abdul Hamid Adam
kaun angDai le raha hai 'adam'
do jahan laDkhaDae jate hain
Abdul Hamid Adam
KHuda ne gaDh to diya aalam-e-wajud magar
sajawaTon ki bina auraton ki zat hui
Abdul Hamid Adam
kisi hasin se lipaTna ashad zaruri hai
hilal-e-id to koi subut-e-id nahin
Abdul Hamid Adam
kisi jaanib se koi mah-jabin aane hi wala hai
mujhe yaad aa rahi hai aaj mathura aur kashi ki
Abdul Hamid Adam
kuchh kuchh meri aankhon ka tasarruf bhi hai shamil
itna to hasin tu mere gulfam nahin hai
Abdul Hamid Adam
lazzat-e-gham to baKHsh di us ne
hausle bhi 'adam' diye hote
Abdul Hamid Adam