اردو हिंदी
Shab ki bedariyan nahin achchhi | Shaahi Shayari
shab ki bedariyan nahin achchhi

Ghazal

Shab ki bedariyan nahin achchhi

Abdul Hamid Adam

;

shab ki bedariyan nahin achchhi
itni mai-KHwariyan nahin achchhi

wo kahin kibriya na ban jaen
naz-bardariyan nahin achchhi

haDDiyan galne ke gur sikhun
sahl-angariyan nahin achchhi

kuchh rawadariyon ki mashq bhi kar
sirf adakariyan nahin achchhi

hath se kho na baiThna us ko
itni KHuddariyan nahin achchhi

ai ghafurur-rahim sach farma
kya KHata-kariyan nahin achchhi